Yeh Zindagi

Kadvahat ki zaroorat nahin, par phir bhi peeta hoon,
Zindagi se darr lagta hai, par phir bhi jeeta hoon.

Manzilen dhoondata raha zindagi bhar, par
ab toh bus raaston se pyar hai, zindagi se darr.

Badi Kashmakash hai yeh zindagi ajeeb,
iss se ladho, jhagdo, jeetoge nahin, rahoge garib.

Jeetne ki chah lekar aao zaroor, par
yeh todegi, marodegi hamara saara guroor.

Haar ke jab baithoge, kisi kinare pe,
tab ehsaas hoga kya khoya zindagi se.

Bus chalte jao, saath nibhate jao,
aur yeh Zindagi tumhein le jayegi...aao.

Ajeeb Zindagi, ajab Zindagi,
Gareeb Zindagi, gajab Zindagi.
Pakdo toh daudti hai,
Chodo toh ragadti hai.

Yahi hai...yahi hai Zindagi.

1 comment:

ShareThis