Nahin



Rikshaw hai jo rukta nahin,
Bus hai jo dikhta nahin,
Paer hain jo chalte nahin,
Manzil hai jo aati nahin.

Dost hain jo milte nahin,
Dushman hain jo pighalte nahin,
Pyar hai jo khilta nahin,
Tanhai hai jo jaati nahin.


Pagar hai jo badhta nahin,
Mehangai hai jo ghatati nahin,
Paisa hai jo aata nahin,
Garibi hai jo jaati nahin.

Izzat hai jo milti nahin,
Shohorat hai jo badhti nahin,
Kaamyabi hai jo aati nahin,
Naseeb hai jo badalta nahin.

Umr hai jo rukti nahin,
Jawani hai jo rehti nahin,
Dimaag hai jo chalta nahin,
Phoorti hai jo kaam aati nahin.

Zindagi hai jo katati nahin,
Maut hai jo aati nahin,
Andhera hai jo ghatata nahin,
Roshni hai jo chamakti nahin.

Accha sochne ki aadat nahin,
Khud se pyar kabhi kiya nahin,
Doosron ka sahara hamesha nahin,
Jeetna zindagi mein sab kuch nahin.

Sahara nahin ka rehta nahin,
Khud ke alawa koi madad karta nahin,
Bulandi ke alawa chara nahin,
Khud se nafrat acchi nahin.

No comments:

Post a Comment

ShareThis